Sunday, 15 April 2018

Main hindustaan hoon

Main hindustaan hoon aur main aaj sharminda hoon
Mar gaya andar se main, bahar se bas zinda hoon
Aaj sabki zubaan par bas ek hi naam aaya hai
Koi gusse se toot raha hai koi mazhab ko beech main laaya hai
Mazhab shayad hamien insaaniyat ka hi paath padhaata hai
Jab insaaniyat hi nahi rahi, toh kaisey koi mazhab ko beech main laata hai
Bas naam se uske pehchaan de di sabne, pakka usi ki galti hogi
Aath saal ki thi mehez woh, kya "koi mujhe dekhega" soch kar ghar se woh nikalti hogi?
Nahi janab, shayad woh zindagi main aagey bhadna chahti thi
Basta (Bag) uthaaye, madarsa(school) jaakar shayad woh padna chahti thi
Par kalam uske haath main aati is sey pehle hi uski dil ki dhadkanien ruk gai
Sharam ek baar phir, mazhab ke aagey jhuk gayi
Paanch din tak, bhagwaan ke ghar main hi krtr rhe uska balatkaar
Kya kisi ko nahi sunai di us masoom ki ek bhi guhaar(appeal)?
Sunai zroor di hogi par koi kaisey kuch keh jaata
Dusre mazhab ki thi woh, phir koi kyu na yeh seh jaata
Manzar dardnaak itna, pakka us raat khuda bhi roya hoga
Apni beti ki umar ki ladki ke saath, yeh sab karne waala raat ko kaisey soya hoga
Insaaniyat ka zara bhi ussey takaaza na aaya
Devi ke ghar main ek devi ko hi usne mitti main milaaya
Zinda rahenge yeh jab tak, tab tak har subha kaali hai
Mard keh rahe ho tum jinhe woh insaaniyat ke naam par bhi gaali hain
Mar gaya jo us raat mazhab ki kataar(sword) se jo main "insaanityat" ka woh sunehera parinda hoon
Main hindustaan hoon aur main aaj sharminda hoon
Main aaj sharminda hoon


- Laksh Kishore Malhotra

Friday, 9 March 2018

Woh aakhri desk...

Woh aakhri desk jispe aaj koi aur baitha hai
Kabhi mera hua karta tha woh
Mere sapnon ka mere jazbaaton ka
Basera hua karta tha woh
Woh bhi kya din the
Awaaz dekar maa bistar se uthaati thi
Uthne main jab deri karo
Halke se chilaati thi
Naak chadha kar uthte the
School ke liye hone taiyaar
Wajah bas ek hi hoti thi, aaj phir milenge saare yaar
Jitna marzi pehle jau, aakhri desk par baith jaata tha
Khaana lazeez doston ko kehkar unke ghar se mangwaata tha
Pehle ek aaya fir dusra aisey karte karte poora ho gaya yaarana
Dosti hamari se na jaane kyu itna jalta tha zamaana
Ghar waale sochte the, school jaakar padhta hoga
Jo sikhaya woh seekh kar, zindagi main aagey badhta hoga
Woh kya jaante the ishq tha mujhe yaaron se apne
Milbaithkar dekhe saath na jaane kitne sapne
Shor itna kiya karte the jab tak teacher na thak jaaye
Sharam hum main hai thodi, ho door uska yeh shak jaaye
Phir aagey piche bitha kar humien alag alag kar deta
Doston ko alag kar toh liya Dosti ko kaisey alag kar leta
Besharmon ki tarah door se hi guftagu karte the
Bas phir kya, gaalon par zor se thappad padte the
Pyaar hua karta tha har roz nayi kisi haseen bala se
Paisa toh tha nahi, dil behlaate the uska kala se
Chitthiyan likh kar uski taraf phainkta, uski dost uthakar ussey pakdaati thi
Do minute main padkar, meri taraf mudkar muskurati thi
Aakhri din jab saath tha, sabki aankhien nam thi
Dil main chupi rahin kuch baatien, bayaan ki bahut kam thi
Aaj woh saare dost jinki yaari ki kasamien khaaya karta tha zamaana ek dusre se door hain
Galati nahi hai unki, bas waqt ne kiya majboor hai
Woh desk, woh teacher, woh imaaratien toh ab bhi wahi hai
Woh yaarana, woh lamhien, woh muskan shayad ab kahin nahi hai
Laut kar naa aaenge yeh pal kabhi, bas isi baat se hamesha darta tha
Woh aakhri desk jispr koi aur baitha hai, kabhi mera hua karta tha
Kabhi mera hua karta tha...




Laksh Kishore Malhotra